Aajkal

Yeh jo aaj hai ise khamkha kyu barbaad karu;

Jo beit gaya bura, uss kal ko kya yaad karu ?

Yaad toh ayengi kal ki uhi kuch batein, magar mai kyu nilaam karu aajkal ki ratein?

Yeh daur mera jo aaj hai, isse khul ke jeena mera kaam hai…;

Jo guzar gaya uss waqt mai jeena bhala mere kiss kam hai?

Kal jo tha bedhang mera, le sawarna mujhe mera aaj hai … .

Jo tehar jao mai abki baar to gunegaar hu mai phir, hoga iska jo bhi anjaam hai..

Isiliye..;

Jo beit gaya bura, uss kal ki kya pehchan hai

Yeh toh aaj hai mera,isse dhang se jeena mera kam hai.

safar_.-.

saloni__._

4 thoughts on “Aajkal

Leave a comment