Suljhe hue jazbaat.

Jo bachpan tha vo beit gaya….;ye mera kal tha jo maine jee liya

Jo pehle tha saab badal gaya….; ye kuch sikh hai jo mujhe mil gaya

Vo kala badal aab mit gaya….;ye vo pal tha jo mujhe azma gaya

Jo samne tha vo kohra aab simat gaya, ye mai hu jisne khulkar jeena sikh liya

Jo sath the vo kahi chut gaye, khair koi na, ye voh rahi hai jo apne raste mud gaye.

Akhir hua jo bhi hai.. Chalo bura na koi hai……;kya karein kisi ko kehkar bura, akhir insaan har koi hai.

Jo kehna tha maine keh diya, ye soach thi meri jo apne samjh liya.

pahelian_.-. saloni__._

Aajkal

Yeh jo aaj hai ise khamkha kyu barbaad karu;

Jo beit gaya bura, uss kal ko kya yaad karu ?

Yaad toh ayengi kal ki uhi kuch batein, magar mai kyu nilaam karu aajkal ki ratein?

Yeh daur mera jo aaj hai, isse khul ke jeena mera kaam hai…;

Jo guzar gaya uss waqt mai jeena bhala mere kiss kam hai?

Kal jo tha bedhang mera, le sawarna mujhe mera aaj hai … .

Jo tehar jao mai abki baar to gunegaar hu mai phir, hoga iska jo bhi anjaam hai..

Isiliye..;

Jo beit gaya bura, uss kal ki kya pehchan hai

Yeh toh aaj hai mera,isse dhang se jeena mera kam hai.

safar_.-.

saloni__._

Kya kehne….

Dekho naa… Kya kehne!

Khwaab jo dekhe koi sunehre, kuch log usse dabaye jate hai.

Jaab karoge gaur tum iss saazish par, pata chale yaha kitne muuh chipaye jate hai..

Koi kare himakat jeene ki, toh kuch uhi mitaye jate hai;

Jaab karoge gaur tum iss hairat par, pata chale yaha kitne saboot jalaye jate hai..

Dekho na tum bhi, yeh baat chali akhir kya hai.. Ki koi utre ghat maut ke toh akhir iski wajh kya hai..

Koi atish bazi bhi toh nahi ki khushiyo ka mausam ho….

Par kya kehne unke bhi..; jo kisi ki maut par bhi diwali manaye ja rahe hai…

Fitrat_.-.

saloni_.__

Zindaji jeeta har koi nai hai!

Dawa kiya sabne hai!

Ha dawa kiya sabne hai magar. Zindagi jeeta har koi nahi!

Ke kuch hote hai aise bhi…. Jo karte dikhawa jeene ki, dekho karte dawa kush hone ki, magar muskurata har koi nahi.

Ke kuch hote hai aise bhi…. Jo karte dikhawa sone ki, dekho karte dawa mukt hone ki, magar sukoon mai rehta har koi nai.

Yeh dekho na hai kya paheli. Sulajhna hota hai yaha ise bhi, Maine soacha yaha honge saab aache hi..; magar saccha hota yaha har koi nai…

Ke dawa kiya sabne hai magar, zindagi jeeta yaha har koi nahi.

paheli_.-. saloni_.__

Chalo kuch jante hai…

Yeh badlaav kaisa hai….

Purane the vo log magar. Soach nai purani hai, Yeh nai daur ki rail hai, lekin manjil vahi suhani hai.

Aurat mard ki duniya mai, yaha log bade sayane hai. Kuch chalte apni marzi se, kuch sunte logo ki zubani hai.

Yeh nai daur ki duniya hai, yaha haar jeet ki kahani hai, kuch bikte apni marzi se, kuch mitaye jaye khudjarzi se!

Samay dekho badal gaya, jo accha tha vo bigad gaya. Jo bure the vo has rahe, jo h acche aaj dekho kya vo bach gaye?

Mai puchu aaj tumse ke, ye duniya kitni verani hai;

Kya hoga kuch tumhara bhi, ya duniya bigdi sirf hamari hai!.

Vichar_.-. saloni_.__

Dekho achanak hua kya.

Dekho achanak hua kya!

Dekho achanak hua kya, jo na hona tha aisa hua kya.

Samaet ke rakha tha jinhone uss, waqt ko akhir hua kya… Mai kehta raha ye badal hai par, yeh andera aisa hua kya..

Har taraaf jo badha yeh, hawa mai zehr aisa faila kya… Mai kehta raha yeh mausam hai par, toofan aisa aya kya…

Gunjata tha jo rasta aaj, chup aisa hua kya… Khilte the jo galiyee aksaar, vo viran aise hue kya… Mai kehta raha yeh kuch pal hai par, yeh waqt aisa tehra kya…

Masoom tha yeh jahan mera,Par maut itni hui yaha… Mai kehta raha yeh badlaav hai par ,mera khuda aisa rutha kya..

Saab kya kare kuch samjhe naa, duvidha mai saab hai pade yaha… Mai kehta raha yeh sapna hai, par hakikat bhi aisa dekh kyaa…

Dekho achanak hua kya, jo na hona tha aisa hua kya.

karvat_.-. saloni_.__

Vo rahee hai jo chalti jayengi…..

Voh rahee hai jo chalti jayengi..

Voh rahee hai jo chalti jayengi. Kuch manjile hai jo hasil ho jayengi.

Ha aaj daur alag hai, kuch zamane ki soach alag hai,

par tum teherna maat kahi ki. Ki vo rahee hai jo chalti jayegi….

Waqt lage thoda toh lag jane do naa, Tumhe hai sabar kitna..pata chal jane do na..

Ha makaam jitna hota unchaa..ke azmaish tumhari hogi utni hi..

Magar tum rakhna sabr apna… Ke voh rahee hai jo chalti jayengi……

hausla_.-. saloni__._